Kaise kar lete hain log aisi harqate
Yahan toh likhte hue hi
Mere haath kaanp jaate hai
Aadmi hai ye ya koi jaanwar hai junglie
Jo akeli ladki ki saans bhaanp jaate hai
Par jaanwar bhi pehle maarta hai phir khaata hai
Ye pehle nochte hai phir khoon karte hai
Sochta hu aise logo ke beech
Kisi ladki ke maa baap
Kaise kabhi bhi sukoon bharte hai
Jis ke saath hua yeh
Usne jhela kaise hoga
Mera dil toh khabar sun ke
Pehle cheekh bhare
Meri jeebh jale
Lekin aise haalaat mai koi
Koi kaise apne ghar me
Beti ki ummed kare
Aise mauke par mujhe
Feel hoti lachari
Mujrimo ko de du
Unke jurm se mai azadi
Gusse mei yaad nahi aati
Hai ye baat mujhje
Ki meri lachari hi dikhayegi aukaat mujhe
Ki mere bas ki nahi kuchh bhi
Bas likhta hu mai
Kyuki mai bhi hu ek buzdil
Kya mai usko bacha pta agar mai toa uss din
Shayad nahi kyuki mujhe padhi hai bas ki khud ki
Baat bas mai apni nahi, kar raha hu teri bhi
Jis ne kabhi himmat dikhaane mei thodi deri ki
Jis ne kabhi aage badh kar kari nahi awaz
Jisne sirf bheed mei hi fer li thi aankh
Jis ko pehle jaldi hoti video banane ki
Jis ko pehle fikar hoti hai poore zamaane ki
Jis ko lagta hai ki koi aur pehel karega
Jis ko lagte hai hone do hamei kya?
Shayad ye darinde kabhi khatam nahi honge
Aur shayad kanoon har bar chhod dega
Par agar tujhe kabhi kuchh galt hota dikhe
Toh himmat ke saath jaana fod dena
Par agar tujhe kabhi kuchh galt hota dikhe
Toh himmat ke saath jaana fod dena