Lyrics
Maine bahut kuch likha hai apni maa ke baare
Par papa aaj aapse kuch kehna chahta hoon
Ki maa agar jannat toh aap jannat ke bhagwan ho
Maa agar kheer toh aap meethe pakwaan ho
Maa hai aayat toh aap poori quran
Love you papa
Tujhme basti hai meri jaan
Yeah!
Bachpan se leke aaj tak aish karayi
Khilono ki dukaan mere room me sajayi
Yaad jab tumhare paas paise nahi the papa
Tu ne udhaar pakad ke mujhe bike thi dilaayi
Phir ekdum chadha mujhe sangeet ka bukhar
Zid meri dila do instrument agar mujhse pyaar
Do hazaar bas bank account me the tere
Tune saare paise nikal ke mujhe ledi guitar
Ab boodha hua jism unka
Aur dhoonp mein kaam hai
Subha se leke shaam tak
Unhe koi na aaraam hai
Iss umar mein bhi mazdoori karke ghar chalana koi
Jung se kam nahi papa tujhe salaam hai
Sach kahoon uss rab se zyaada karoon tera jaap
Duniya chaahe bhaad mein mera sab kuch ho aap
Jitni bhi baar loon main dharti pe janam
Rabba inko hi bana ke bhejna tu mera baap
Ladkhadayi kashti qismat ki
Tune har baar sambhaala hai
Bande ke libaas mein khuda hai woh
Jisne mujhe paala hai
Faqeeron jaisi halat
Ki khud pe taras na aata hai
Le diya mehanga phone
Khud toota hua woh chalata hai
Khata nahi khaana waqt pe humaare liye
Karta khush rehne ka natak
Asal mein aansu bahata hai