Main Inkaar Karta hun Lyrics Aamir Aziz from the Movie Title Song, sung by Aamir Aziz. The song is composed by Aamir Aziz and the lyrics are penned by Aamir Aziz.

 

  • Singer: Aamir Aziz
  • Music: Aamir Aziz
  • Lyrics: Aamir Aziz

Lyrics

Tum goliyon se hamein maar zarur sakte ho
Lekin goliyon se haman marr jaye aisa zaruri nahi
Aisa zarur hai ki maut se haman khauf khata hai
Magar khauf khake haman darr jaye aisa zaruri nahi

Main hawwa aur adam kisi santan
Mera Madr-e-watan hindustan
Muhammad mera nabi Allah mera khuda
Ambedkar mera shikshak
Budh mera shuru Nanak mera guru
Amn mera mazhab ishq mera imaan

Khauf khake darr jaane se
Bemaut maare marr jaane se
Main inkaar karta hun

Main zulm se inkaar karta hun
Ke zulm se inkaar karna inquilab ki
or badha hua pehla qadam hai
Main qadam peechhe hataane
se inkaar karta hun

Meri jaan ka faisla saat ghante ki
ek sansad satr se ho
mujhe manzoor nahi
Meri pehchan ka faisla kisi
pehchan patr se ho
mujhe manzoor nahi
aise sansad satr se
apne pehchan patr se
Main inkaar karta hun

Mere hi mulk mein mujhe haq ke
bajaye bheekh diya jaaye
mujhe manzoor nahi
Mujhe kisi register mein kisi
naam ki tarah likh diya
jaaye mujhe manzoor nahi

Haq ke bajaye bheekh diye jaane se
Kisi register mein kisi naam
ki tarah likh diye jaane se
Main inkaar karta hun.

Zakhm ko phool kahun?
Zaalim ko rasool kahun?
Curfew ko jamhooriyat
Nafrat ko usool kahun?
Jo jhoot ko sach kahe
zabaan ki har ek aisi harkat se
Main inkaar karta hun

तुम गोलियों से हमें मार ज़रूर सकते हो
लेकिन गोलियों से हामान मर्डर जाये ऐसा ज़रूरी नहीं
ऐसा ज़रूर है की मौत से हामान खौफ खता है
मगर खौफ खाके हामान डर जाये ऐसा ज़रूरी नहीं

मैं हव्वा और आदम किसी संतान
मेरा मदर -इ -वतन हिंदुस्तान
मुहम्मद मेरा नबी अल्लाह मेरा खुदा
आंबेडकर मेरा शिक्षक
बुध मेरा शुरू नानक मेरा गुरु
अम्न मेरा मज़हब इश्क़ मेरा ईमान

खौफ खाके डर जाने से
बेमौत मारे मर्डर जाने से
मैं इंकार करता हूँ

मैं ज़ुल्म से इंकार कर्ता हूँ
के ज़ुल्म से इंकार करना इन्किलाब की और बढ़ा हुआ पहला क़दम है
मैं क़दम पीछे हटानइ से इंकार करता हूँ

मेरी जान का फैसला सात घंटे की इक संसाडी सत्र सइ हो मुझे मंज़ूर नहीं
मेरी पहचान का फैसला किसी पहचान पात्र से हो मुझे मंज़ूर नहीं
ऐसे संसद सत्र से
अपने पहचान पात्र से
मैं इंकार करता हुन

मेरे ही मुल्क में मुझे हक़ के बजाये भीख दिया जाए मुझे मंज़ूर नहीं
मुझे किसी रजिस्टर में किसी नाम की तरह लिख दिया जाए मुझे मंज़ूर नहीं

हक़ के बजाये भीख दिए जाने से
किसी रजिस्टर में किसी नाम की तरह लिख दिए जाने से
मैं इंकार करता हूँ .

ज़ख्म को फूल कहूं ?
ज़ालिम को रसूल कहूं ?
कर्फ्यू को जम्हूरियत
नफरत को उसूल कहूं ?
जो झूट को सच कहे
ज़बान की हर एक ऐसी हरकत से
मैं इंकार करता हूँ

6 Comments

Comments are closed.

©2024 AdtagMacrosMedia

Log in with your credentials

Forgot your details?